Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.
Kabhi Wo Mujh Say Kehta Tha K Meri Zindagi Tum Ho.Tum Hee Ho Arzoo Meri Meri To Har Khushi Tum Ho.Na Dekhoon Main Agar Tum Ko To Aankhien Noor He Kho Dein Meri Aankhoon Main Jan-E-Jaan Chamkti Roshni Tum Ho.
Door rehkar kareb rehne ki aadat hai, yad bankar ankhon se behne ki aadat hai, kareb na hote hue bi kareb paoge, mujhe ehsas bankar rehne ki aadat hai..
Baat baat pe jo yun rooth jate hain, hath unse anjane me choot jate hain! koi unse kahy k bara nazuk hai pyar ka rishta, hanste hanste bhi dil toot jate hain.!!
Kabhi-Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Dosti Ka Asar Zara Der Se Hota Hai Unhe Lagta Hai Hum Kuch Nahi Sochte Unke Baare Me Par Har Baat Me Zikr Unka Hi Hota Hai
Tere pyaar me wo kar ke dikhau, Marne ko keh do to marr ke dikhau, Phir se janam le ke iss duniya me aayu, Tamanna phir bhi yahi hogi tujh ko hi paaun.