Ishq cheez hi aisi hai, daman chudaya nahi jaata Doob gaye hain pyaar mein itna, kuch chupaya nahi jaata Izhaar to karna chahte hain, par mohabbat jatayii nahi jaati Doori itni hai beech humare, ki chahat dikhayii nahi jaati
kabhi tum bhi humse baat kar liya karo milne ki fariyad kar liya karo ek hum hai jo har baar shuruwat karte hai kabhi tum bhi hume humse pehle yaad kar liya karo
Khuda jaane pyar ka dastur kya hota hai, jinhe Apna banaya wo dur hota hai, kehte hain ke milte nahi Zamin Aasman, fir kyun Aasman Zamin par Fida hota hai.?.
Yaado mai hamari who bhi kohye honge. Khule aakho se kabhi who bi soye honge. Mana hasna hai ada gam chupane ki, par HASTE-HASTE kabhi who bhi roe honge?
Nazre bhi kya cheez hai ye aaj dekh liya, palke jhukaake usne teh-e-dil ko chhu liya Khuli aankh pe bhi hum bharosaa na kar sake, sapne mein isliye use fir se chhu liya..
Chehre ki har muskan ban jata hai koi, dil ki har dhadkan ban jata hai koi, phir kaise jiye zindagi uske bin, jab zindagi jine ki wajah ban jata hai koi..