Aag duniya mein lagi ho to bujhana mumkin, Tum lagi dil ki bujha doge to chain ayega... Ab tak ishq mein aankhon se hi baatein ki hain, Yeh ada dil ko sikha doge to chain aayega.
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Kaash tum mujhe ek khat likh dete, mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete, tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki, nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete
mita denge yeh duri, yeh fasle sabhi! kahogi ek baar ki milo aa ke kabhi! na honge door phir tum se is zindagi main! khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!