hum nay kab us say mulakat ka wada chaha, dur rah kar usay aur bhi ziyada chaha, yaad aya mujhay wo bari shidat se, bhool janay ka usay jub bhi erada chaha
Tumhara Naam likh kr mitana bhool jata hoon.. Tumhain Jab yaad krta hoon bulana bhool jata hoon.. Bohat c aysi batain hain jo mary DIL main rakti hain.. Mager jab tum sy milta hoon sunana bhool jata hoon.. Tumhary Baad ab her pal bari mushkil sy Katta hai.. Main aksar tum ko Khawabon main batana bholl jata hoon.. Main her shaam kahta hoon k tum bhool gaon ga.. Mager jab subha hoti hai to Bholana bhool jata hoon.........
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Dil jo tutega to fariyaad karoge tum. Hum na rahe to hume yaad karoge tum. Aaj to kehte ho hamare pass waqt nahi, par ek din mere liya waqt barbad karoge tum…