Teri baahoon mein simatne ki chahat hain tere saath mein lipatne ki chahat hain khuda do ek nazar dekhne ke baad tujh par mar mitne ki chahat hain tere saath guzara har lamaha apna har pal tere saath rahane ki chahat hain tum pyar bhari ek nazar dalo mujpar in aakhon ke saagar main dubne ki chahat hain.
Deewane hai tere naam ke, is baat se inkaar nahi, kaise kahe ki hamein aapse pyar nahi, kuch to kasoor hai aapki nigahon ka, hum akele to gunehgar nahi.
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera