Har ek manzar par udasi chaai hai,Chand ki roshni me bhi kuch kami aai hai,Akele achche the hum apne ashiyane me,jaane kyu lout kar phir aapki yad aayi hein.
Aakhon se ashk cheen liya krte hai hum, Sabki neende chura liya krte hai hum Ab se jab apki palk jhuke samaj lena, Tab tab apko yaad kiya krte hai hum.
Har baat kehkar samjayi nahi jati, har cheez zindagi main paayi nahi jati, yu to har waqt yaad karte hai aap ko, par yaadein kisi ko dikhayi nahi jaati