Jiss ko kehte hai mohabbat hai khuda ki nehmat, Sab ki kismat me ye daulat ho zaruri to nahi, Chand chunn-ne ki tamanna to hum ko bhi hai, Magar door kaa chand haqiqat ho zaruri to nahi
Roz sochta hoon,aaj izhaar kar denge magar darr lagta hain,ki wo inkaar kar denge roz dil kehta hain,keh de dil ki baat magar lagta hain wo sare aam badnaam kar denge
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil