Shama kehti hai Mujhe banaya kisne,jis jis ke Haath lagi mujhe jalaya usne,wo shama kya jise koi jalane wala na ho,wo insan hi kya jise koi Chahne wala na ho
Pyaar Koi Cheez Nahi, Jise Mehnat Se Haasil Kiya Ja Sake... Pyaar Koi Mukaddar Nahi, Jise Taqdeer Pe Chhoda Ja Sake... Pyaar Ek Yaqeen Hai, Bharosa Hai... Lekin Yeh Itna Aasaan Nahi, K Kisi Pe Bhi Kiya Jaa Sake.......
Meri har ek dhakan aap ke liye hai, Meri har ek muskuraht aap ke liye hai, Aap ki ada mere dilko churane ke liye hi hai, Ab toh meri yeah zindagi aap ke intezaar ke liye hai!!!
Saath rehate rehate yuhi waqt gujar jayega.. Dur hone ke bad kaun kise yaad aayega.. Jeelo ye pal jab hum saath hai, kal ka kya pata waqt kahan le jayega...
Mere pyar ko apni takdir bana lo,meri yadaun ki dil me zanzir bana lo,kagaz par lakeeren to bahut kheench li tumne,ab unko milakar meri tasveer bana lo
Kabhi Hum pe WO jaan diya karte the,Jo Hum kehte the wo maan liya karte the,Aaj pass se anjaan ban kar guzar gaye,Jo durse HUME pehchan liya karte the..
Dur Suraj Kahi Jal Raha Hoga Kisi Ka Dil Kisi K Liye Machal Raha Hoga Uff ye Hawao Me Itni Khushboo Kaisi Zarur Mera Koi Apna Muje Yaad Kar Raha Hoga...