jindagi kya hai, shayad ak sach shayad ak jhoot, par jindagi main vahi safal hota hai, jo ise ak khel mankar chalta hai,kyonki khel main harkar bhi kuch seekhne ko milta hai
Dard e dil ne dekho kitne gam jele hai, mere masoom dil me zakhmo ke mele hai, mehfil ki khwahish thi muje yaro, dekho zindagi me aaj hum kitne akele hai.
Wo mera nahi ye batana ajib lagta hai,Ab us se aankhe milana ajib lagta hai,Chahte the jiska hath thamna umar bhar,Ab us se hath bhi milana ajib lagta ha
Ab To Mehfil Main Bhi Hamare Liye Tanhai Hai Gham Chupa Kar Mehfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hai Mehfil Main Dosron Se Hans Hans Kar Milta Hain Tanhai Main Gham Ke Ansoo Bahana Kaisa Lagta Hai
Ashq beh beh ke mere khaak pe jab girne lage, Maine tujhko tere daaman ko bahut yaad kiyaa, Yoon bhi ek din tujhe barbad to hona tha, Naaz kar naaz ke us ne tujhe barbaad kiya.
Roye ho bahut tab zara karar mila hai, Is jahan mein kisey sacha pyar mila hai, Guzaar rahi hai zindagi imtehan ke daur se ek khattam hoa toh doosra taiyaar mila hai .....
"Sath dene ka vada kiya tha,shikwa sehne ka vada kiya tha,agar wo hame bhulakar khush hain to koi gam nai,kyuke hamne to unko khush rkhne ka vada kiya tha.