Khusbu Se Hawaon Se Bhi Milte Nhi Kuch Log Mossam Ki Adaon Se Bhi Milte Nhi Kuch Log Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Dete Hain Laken Bicherain Tu Duaon Se Bhi Milte Nhi Kuch Log
Hum Vo Ishq Hai Jo Dil Bankar Dhadakte Hai Hum Vo Khushboo Hai Jo Bahon Me Mehekte Hai Humse Pyaar Na Karna Aye Zalim Hum Vo Dard Hai Jo Aankhon Se Chalakte Hai.
BICHHARTE WAQT US NE KAHA THA,NA SAWAAL KARNA NA JAWAB MILE GA,MUJHE BHOOL JAANA QARAAR MILE GA,HUM US MUQAAM PER THAY,NA SAWAAL KIYA NA JAWAB MILA,NA BHOOL SAKE NA QARAAR MILA.
main pyar ki ek aisi falak chhod jaunga jo sab ko dikhai de wo jhalak chhod jaunga, gulshan jalane walon mitao mera wazud har khak ke zarre pe apni mehak chhod jaunga
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..
Dard jigar mein uttha hai, koi marham lagane vala nahin aag lagti hai dil mein, koi bujhaane vala nahin kis se umeed rakhe hum iss bhare jahan mein har kisi ne rulaaya iss qadar, koi hansaane vala nahin
Laut jati he duniya gam hamara dekhkar, jaise laut jati he lehren kinara dekhkar, tu kandha na dena mere janaze ko, kahi fir zinda na ho jau tera sahara dekhkar