ABB UMAR HO GAYI HAI DIL KI KITAB MAIN KUCH KHUSK PATON K SIWA KUCH NAHI RAHA JAZBE TAMAM KHO GAYE LAMHON KI DHOOL MAIN ABB DIL MAIN DHARKANO K SIWA KUCH NAHI RAHA
Woh pal aisa tha ki inkar na kar paaye,Duniya ke dar se ikrar na kar paaye... Na thi zindagi jiske bina mumkin,Usne chod diya aur hum sawal na kar paaye.
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki, Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume bus muskurane ki
tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata phir bhi dil ki baat keh nahi paata kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata
Muhabbat Ki Saza Bay Misaal Di Us NE Udas Rahni Ki Adat Daal Di Us NE Jab Mare Jism Per Wo Apne Zakham Daikh ChukkaTo Jaan Bhooj Kar Kantoo Ki Shal Daal Di Us NE
Hame ashqon se palkon ko bhigona nahin aata,mile jo khushi to use khona nahin aata,seh lete hain har gam haske aur log kehte hain hamen rona nahin aata.
Din akele raat tanha kaat dee maine, Dosto main saari khushiya bant di maine, jeevan ki bhag daud me mujhko mila hi kya, paane ki ummid me zindagi kaat di maine.