Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..
kya kahe aapko hum? khud nahi samaj pa rahe, kaise bitaye har pal, dar hai kahi hum bichad na jaye, mulakat ka vada manzoor hai hame, doa boond ansuome, khushi bhi aap laye,
Jis kisiko bhi chaho woh bewafa ho jata hai.Sar agar jhukao to sanam khuda ho jata hai.Jab talak kaam ate raho humsafar kehlate raho,Kaam nikal jaane par humsafar koi doosra ho jata hai.
Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta, Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta, Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai, Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta