Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain, Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain.............?
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
dil na milte to mulakat aduri rehti baat to hoti magar baat adhuri rehti shukriya tera tere aanese ronak to badhi nahi to yeh mehfil ek jasbat aduri rehti tune apne daman mein chupaye mere aasu nahi to akho ki barsaat adhuri rehti
Dil Ko Har Waqt Tasalli Dena Hota Hai. Dard Hota Hai Na Jane Kahaan Hota Hai. Aap Kyun Puchte Ho Is Dard Ki Haalat. Hum Kya Batayen Ki Ye Dard Kahaan Hota Hai.