Mujhai dard-e-ishq ka maza maalum hai, Dard-e-dil ki intha maalum hai, Zindgi bhar mooskrane ki dua na do yaro, Mujhai pal bhar mooskrane ki saza maalum hai.
Ek tuti hui zanjir ki fariyad hai hum,aur dunia ye samajhti hai ki azad hai hum.is ashiqi ne kya diya hai humko,kal bhi barbad the,aaj bhi barbad hai hum
Woh pal aisa tha ki inkar na kar paaye,Duniya ke dar se ikrar na kar paaye... Na thi zindagi jiske bina mumkin,Usne chod diya aur hum sawal na kar paaye.
Is dil ki gali mei sada ker k to dekho,yeh rasm-e-faqiri ha ada ker k to dekhoreh jayegi tumhari her ik baat adhuri,tum khudko kabhi mujhse juda ker k to dekho.