Aapko dekhu,ab ye irada bhi baki na raha,tujhe sochu,shayad ab ye haq bhi hamara na raha,kabhi to karti apni majbooriyoin ka khulasa hamse,ki lad jaya jahan se tere liye ye bhi tujhko gavara na raha.
Likhu kuch aaj yeh waqt ka takaza hai; dil me dard abhi taza-taza hai; gir padte hai aansu mere kagaz par, lagta hai kalam me syahi kam aur ishq zyada hai..
Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu, manzil hai maut meri main harpal safar me hu, hona hai qatal ye malum hai, lekin khabar nahi main kis-2 ki nazar mein hu
Wada kar ke jo mukar jate hain Woh log sab se jyada kareeb hote hain Waqt to chalta hai chal ke badalta hai Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..