Unki yaad mai aakho se din raat aasu hai barse,Manga jis khuda se b humne unhe,Laut aye khali hath har us dar se,Gunehgar keh kar Mili hume itni saza,par such to ye hai yaro hum to ek gunha karne ko b tarse
Labon Pe Tabassum Tho Aankhon Mein Paani Yahi Hai Yahi Diljalon Ki Nishani Bathaoo Main Kya Aansoon Ki Haqeeqat Jo Samjho Tho Sab Kuch Na Samjhe Tho Paani
Fareb tha uski hasi me hum ashiqi samaj baithe,maut ko hum apni zindgi samaj baithe,waqt ka majak tha ya badnasibi meri,uski do bato ko hum chahat samaj baithe.
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Jab zindgi samajh aai to zindgi se door the hum marna chaha par jeene ko majbur the hum har saza kbul ki humne sar jhuka kar kasur itna tha k beksur the hum