Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain
mere dil ke zakhm ab aah nahi bharte, kyoN ki who ab is dil mein raha nahi karte, hum ne ansuooN se unko vidayee dee hai in ankho mein ab ashq raha nahi karte...
Kbi To Aaogi Meri Wafaon Se Shrminda Hokr Phir Hum Tumko Na Milain Ge Dobara Zinda Hokr Kya Mila Tumko Meri Duniya Chor Kr Khud Bi Tnha Rh Gye Muje Tnha Chor Kr
tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua... zindagi jeete hain wo, har zahar peete hain to kya hua... aaj bhi apni parchhaiyon mein dhoondta hoon use... yaad to taaza hai hum maazi (past) hue to kya hua... :-)
Ishq walo se pucho unki raat ka aalam,ki unke dil ki halat kya hoti hai,samne se to vo kush dikte hai magar,unke dil ke har kone me kayamat chupi hoti hai.,