SAZAA denewale Humse RAZA poochte hai.. Jab Jee Rahe hai to jeene ki wajah Poochte hai.. Dete hai khudi humko ZEHER.. Aur kitna hai Asar ye poochte hai ....
wo tere pyaar ka gam ek bahana tha sanam,apni kismat hi aisi thi ke dil toot gaya,ye gam na hota to koi aur gam hota,me to wo hu jise har haal me rona tha.
aansuo ko bohut samjhaya, tanhai mei aaya karo mehfil mei yuh humara mazaak na udaya karo, aansu tadap ke bole mehfil mei aapko tanha paate hai,isiliye hum chale aate hai.
Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua
Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.