Kabhi jazbaat to kabhi yaadon ko dafan karte hai, kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai, kya khub taqdir di hai khuda ne, har roj mar mar ke jiya karte hai.
Maikhane mein jam tut jata hai, Ishq mein dil tut jata hai, Na jaane kya rishta hain dono mein. Jam tute to Ishq yaad aata hai, Dil tute to Jam yaad aata hai.
Wada kiya hai to nibhayenge hum, chand bankar teri chhat par aayenge hum, hai to Teri judai ka gum aisa, fir bhi har rat ko sitarose sajayenge hum......
Konse Shabd Kya ehsas pesh Karu,Zindagi Ki Kitab Ka Kon Sa Panna Pesh Karu, U To Kai Raaz Dafan He Seene Me;Kahiye Tute Hue Dil Ka Konsa Tukda Pesh Karu.
Likhu kuch aaj yeh waqt ka takaza hai; dil me dard abhi taza-taza hai; gir padte hai aansu mere kagaz par, lagta hai kalam me syahi kam aur ishq zyada hai..