Wo kahakar chal diye itni mulakat bahut hai,Hamne kaha ruk jao abhi raat bahut hai,Tham jaye mere ansu to shauk se jana,Aise me kaha jaoge barsaat bahut hai.
roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se, chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se, tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai, aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,
Hum gilla nahin karte.... jo na ho kismat mein vo mila nahin karte zakhm kuch iss tarah khaaye hai dil pe humne yeh itne gehre hai ke kabhi silla nahin karte
Agar Tum Us Ko Na Pa Sako Jis Ko Tum Chahte Ho To Usay Zaruur Apna Lena Jo Tumhain Chahta Hai Kyun K Chahne Se Chahey Jane Ka Ehsaas Zyada Khoobsurat Hai.
Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.