Aap har manjil ko muskil samajhte hai, hum har muskil ko manjil samajhte hai, Bada farak hai aapke aur hamare nazariye me, aap dil ko dard aur hum dard ko dil samajhte hai.
Sham ne lipat kar pyar ka ijhar kiya, Chandani ne bikharkar Yaar ka satkar kiya, Main khada bas dekhta raha Roop ki jalti agan, Dil lagi ne Dilkashi se waqt ko guljar kiya.
Ye wafa ka sila He to koi baat nahi, Ye dard apno ne diya He to koi baat nahi,Yahi bahut He ke wo dekh rahe He kinare Se, Ham duub rahe He to koi baat Nahi.
Dharti ka gum choopane ke liye gagan hota hai, dil ka gum choppane ke liye badan hota hai, Mer ke bhi choopane honge gum shaayad isliye har laash pe ek kafan hota hai