Mera kya hai ek roz jahan se rukhsat ho jaunga,Mere baad na aankho se moti bahana tum.Tere bina jinda laash hun mujhe koi ehsaas nahi,Chhukar mere jism ko koi nayi aas na jaganaa tum.
Har Gam Sahe Uske Pyar Ki khatir.Har Diwar Todi uske Dedar ki Khatir..dunya Ko bHula diya usey Pane Ki khatir. Usne mera Dil tod Diya Auron Ki Khatir..
Bahoot tamanna thi, rishto ke aashiyan banane ki, Bana chuke toh lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume muskurane ki ! .......
Aap na Aye apki yad akar wafa kar gai,apse milne ki tamanna Sukun tabah kar gai,ahat hui socha asar Dua kar gai,Darwaza khola dekha mazak humse Hawa karGAYI.
Bagair Jane Pahechane Ikrar Na Kijiye, Muskura Kar Diloko Bekrar Na Kijiye, Phool Bhi De Jate Hai Zakham Gahere Kabhi Kabhi, Har Phul Par Yu Aaitbar Na Kijiye.