Dil ki hasrat zubaan par aane lagi,Tumhe dekha aur zindagi muskurane lagi, Ye deewangi thi ya meri nazar ka dhokha,Har cheez mein surat teri nazar aane lagi.
Ishq kiya tujhse, mere aitbaar ki hadh thi; Ishq mein de di jaan, mere pyaar ki hadh thi; Marne ke Baad Bhi khuli thi aankhen, yeh mere intezar ki hadh thi..!
Zindagi Mein Aye Hai Kuch Daur Is Tarah Sawan Mein Aate Hain Toofan Jis Tarah Muje Se Door Ho Chuke Wo Mere Apne Kuch Aise Ki Marne Ke Baad Jism Se Rooh Jis Tarah.
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye…