pal aisa tha k hum inkar na kar paye zaamane k daar se ikrar na kar paye na thi jin k bina zindagi munasib chor deya unhone or hum sawaal na kar paye........
Dil ki hasrat zubaan par aane lagi,Tumhe dekha aur zindagi muskurane lagi, Ye deewangi thi ya meri nazar ka dhokha,Har cheez mein surat teri nazar aane lagi.
Tere siwa koi mere jazbaat mein nahi, aankhon mein wo nami hai jo barsat mein nahi, pane ki tujhe koshish bahut ki magar, shayad wo lakeer mere hath mein nahi
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai