Tere siwa koi mere jazbaat mein nahi, aankhon mein wo nami hai jo barsat mein nahi, pane ki tujhe koshish bahut ki magar, shayad wo lakeer mere hath mein nahi
bahut dinon baad aaya hai yeh deewana is dar par jaise laut ke mauj phir aayi ho sahil par main to pehle bhi tanha tha aaj bhi tanha hun kaun dega dastak is deewane ke dar par
Kya mohabbt kisi ke bhi kabil nahi hai jo dil chahe kyu usse wo hasil nahi hai saans ab jeevan ko itni door layi hai maut keh rahi hai wo teri manzil nahi hai.
Har aansu lete hain bus tera hi naam.. Har aansu dete hain sirf yahi paigaam… Ke har aansu mein basi hain teri yaadein tamaam…. To aaj khaate hain inhi aansuon ki kasam….. Ke ab har aansu karenge saanson ka kaam
Kua jaane kya khabar kiski lagi nazar, waadon ko chhod ke, kasmo ko tod ke wo kya bichad gayi, duniya ujad gayi, deepak hai low nahi, main to hu bus wo nahi, wo nahi…