Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Dil tadpata raha or woh jane lage… sang guzre har lamhe yaad aane lage… khamosh nazro se dekha jo usne mud kar… yu bhingi palko se ham bhi muskurane lage…
Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain.Yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain.Log maut tak hi dilbar ki raah takte hain,Hum hai ki kabar mein tera intezaar karte hain...