Unhe aadat hai zakham dene ki. Apni toh fitrat hai gum chupane ki, ab toh aadat si pad gayi hai aasu pi jane ki, kya haseen saza di hai zaalim ne dosti rakhne ki…
Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
Hum gilla nahin karte.... jo na ho kismat mein vo mila nahin karte zakhm kuch iss tarah khaaye hai dil pe humne yeh itne gehre hai ke kabhi silla nahin karte
Mujhko parkhne ka nateeja kya nikla Zakhm e dil nazron se bhi gehra nikla Tod ke dekh hi liya tune aaina mere dil ka Bataa teri soorat k siva kya nikla.....
Na puch mere sabar ki intha kaha tak hai, Tu sitam kar le teri taaqt jahan tak hai.wafa ki umid jine hogi unhe hogi,hume to dekna hai tu bewafa kahan tak hai