MAANA KI AAJ HAMARE SAATH KOI DILDAAR NAHIN, LEKIN YE MAT SAMAJHNA KI HAMEIN KISI SE PYAR NAHIN, KISMAT NE SAB KUCHH DIYA HAMEN, SIRF DIYA HAMARA WOH YAAR NAHIN.
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Roone de aaj tu hum ko tu aankh sujaane de, Baahon me le-le aur khud ko bhig jaane de, Hai jo seene me kaid dariya wo chut jaayege, Hai itna dard ke tera daman bhig jaayega.
Roye hein buhat tab zara karaar mila he is jahan mein kise bhala sacha pyar mila he guzar rahi hey zindagi imtehan ke daur se ek khatam howa to dosra tayar mila he
Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin