Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.
Waqt hai badla aur badli si kahani hai,Sang mere hasin palo ki yaade purani hai,Na lagao mere jakhmo par marham,Mere paas uski bas yahi ek aakhri nishani hai.
Bhuj gay hain jo dea un ko jala kar dekho!! Phool guldano main Kagaz k saaja kar dekho!! Ap ko agar andaza nahi ho mere tot jane ka!! Koi pather kesi Shishe per bhi gira kar dekho!!
Gam ko zindgi ka naam buzdilo ne diya he, hamne to gam ka samna khusi se kiya he, marte waqt in hotho se hasi nahi jayegi hamne ye VADA ZINDGI se kiya he.