zindagi kabhi aanso, to kabhi muskaan hai meri dhadkano mai uska hi namo nishaan hai ret par likhe the jo do naam humne uska mit jaana hi hamari mohobat ka inaam hai
Har sham se unka izhaar kiya karte hai,Har khwab me unka didar kiya karte hai, Gulam hi to hai hum unke jo har waqt unke milne ka Intzaar kiya karte hai .
''Unhone dekha aur ansu gir pade,bhari barsat me jaise phul bikhar pade,dukh vo nahi k unhone hume alvida kaha,dukh to ye hai k uske bad vo khud bhi ro pade"
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.