Tere siwa koi mere jazbaat mein nahi, aankhon mein wo nami hai jo barsat mein nahi, pane ki tujhe koshish bahut ki magar, shayad wo lakeer mere hath mein nahi
Motiyon mein piroyi hui sapno ko tut te dekha Maut ko bhi maine kaphi nazdeek se dekha Apne ko aaj maine beganaa hote dekha Mehboob ko bhi pal mein bewafaa bante dekha
Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage, Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage, Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke, Her dil mein thoda sa to dard jage....
Unki galiyoon se jab gujre to manjar ajeeb tha, Dard tha magar wo dil ke kareeb tha, Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein... Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.
garmiye hasrat ke nakam se jal jate hai. hum chiragon ki tarah sham se jal jate hai.. shama jalti hai jis aag mein numaish ke liye hum usi aag mein gumnam se jal jate hai.. jab bhi aata hai mera naam tere naam ke sath,,, jane kyon log mere naam se jal jate hai...