Raah me jab bhi mudkar dekhoge, mujhe apne saath paaoge, Chale jao chahe jitni dur, mujhe apne dil me paoge, Kabhi yaad aa jaaye hamari, to band kar lena aankhen apni, Dur hokar bhi tum mujhe apne kaareeb paoge.
Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya, Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,Kisi Ko Dhke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya
Begano se dosti ki gunjaish nahi hoti maut ke baad baki koi khawaish nahi hoti shayad koi pyar bhara dil tuta hoga warna april ke mahine me baris nahi hoti.
Ye Theek Hai Nahi Martaa Koi Judaai Me Khudaa Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare Sunaa Hai Usko Mohabbat Duuaayein Deti Hai Jo Dil Pe Chot To Khaaye Magar Gilaa Na Kare
Laut jati he duniya gam hamara dekhkar, jaise laut jati he lehren kinara dekhkar, tu kandha na dena mere janaze ko, kahi fir zinda na ho jau tera sahara dekhkar
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain