KAANTO ka dard phoolon ki daali hi samjhe, phoolon ka dard baag ka maali hi samjhe,Yeh kaisi 'REET' banayee kudrat ne, Deepak ka dil jale or log diwaali smjhe.
mere to dard bhi auro ke kaam aate hain me ro padu to bahut loog muskurate hain khuda jane wo loog kaise sukun paate hain dilo ke khail me jo haar jaate hain
Baharon ki Rangat Baghbaan Me Hoti Hai, Ishq Ki Tadap Insan Me Hoti Hai, Na Kare Mohabbat Aisa Koi Pathar Dil Nahin, Patjhad Me Kaliyan Bhi Viran hoti hai.
Ishq dariya hai jiska sahil nahi hota, Har dil mohabbat ke kabil nahi hota, Rota woh bhi hai joh duba ishq-e-sagar me, Aur rota woh bhi hai jise ishq hasil nahi hota…