ek khushi ki chah me har khushi se dur hue hum,kisi se kuch keh bhi na sake itne mazboor hue hum,na aayi unhe nibhani pyar me wafa aur zamane ki nazar bewafa ke naam se mashur hue hum
Jina chahte he magar Zindagi ras nahi aati Marna chahte he Magar Maut pas nahi aati Bahut udas he Hum is Zindagi se Kismat b tadpane se baz nahi aati..
Badi asaani se dil lagaaye jaate hain, Par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain,Le jaati hai mohabbat un raho par jaha diye nahi dil jalaaye jaate hain.
Ishq krte the hum,logo ne nafrt karna sikha diya,jis chehre ko dekh kar haste the usne rona sikha diya,ham to marna chahte the,maut k intzar ne jina sikha diya.
Jakhm jab mere sine me bhar jayenge, ansu bhi moti bankar bikhar jayenge, ye mat puchna kis kis ne dhoka diya, varna kuch apno ke bhi chehere utar jayenge.
Labon Pe Tabassum Tho Aankhon Mein Paani Yahi Hai Yahi Diljalon Ki Nishani Bathaoo Main Kya Aansoon Ki Haqeeqat Jo Samjho Tho Sab Kuch Na Samjhe Tho Paani