Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera.Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap.Ek roz bazi yu saje sheesha tera pathar mera.
Dil k raste or soch ki galiyose guzarte dekha.pyar or jazbato ko yaha kuchalte dekha.zindegi mohabat ka nam kaise kahe,jabki har shaks ko humne badalte dekha.
Hijr Ke Mosam Main Ye Barish Ka Barasna Kesa Ik Sehraa Se Samandar Ka Guzarna Kesa Aye Mere Dil Na Pareshan Ho Tanha Ho Kar Wo Tere Sath Chala Kab Tha To Bichadna Kesa.
Kabi kehte the tum bin zindgi adhuri hai Aj kehte ho tumhe n milna majburi hai Phle to kehte the tum bin jevan me kuch nahi Aj kehte ho k dur rehna zaruri hai
Mukadar Se Lad Saku Ye Meri Aukaat Nahi. Me wo Sakhsh hu Khuda Jiske Sath Nahi. Waqt ayega To Kah Dunga Khuda Se Ki. Mera Mukadar Likhna Tere Bus Ki Baat Nahi.
TERE BINA RAKHA HI KIYA HAI JIVAN MEIN MAIN HOON,BHIGI SHAAM HAI OR TANHAI HAI AAJ PHIR MERI AANKHON MEIN SAWAN UTREGA AAJ PHIR SE MUJHEY TERI YAAd AYEE HAI......