Woh To Khushbu Hai ..!! Hawaoon main Bikhar Jayega ...!! Masla phool Ka Hai ..!! Phool Kidhar Jayega ..!! Hum To Samjhe The Ke Ek zakham Hai Bhar Jayega ...!! Kya Khabar Thi Ke Rug-E-jaan main Utar Jayega
Agar tapakta Ashkon ki jagah Lahoo aankhon se... Koi kisi ko phir shayed hi rulaata... Dil ke tootne ki hoti jo Awaaz... Too tumhein mere dard ka andaza ho paata
uski yad me ham barso rote rahe,bewafa vo nikle badnam ham hote rahe,pyar me madhoshi ka aalam to dekhiye dhul chehare pe thi ham aaina saaf karte rahe
Vada hamne kiya tha nibhane ke liye, ek dil diya tha ek dil pane ke liye, unhone mohabbat sikha di or kaha, hamne to mohabbat ki thi tumhe aazmane ke liye.
In aankhon me aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!