Mere alfazo ko juth mat samjana, yaad aati he roz humko ise apna vazud mat samjna, Ji rahe he unki mahobat ke sahaare, mile bina mar jaye to bewafa mat samjna.
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Hansi ne labhon pe thirakna chodh diya, khwabon mei kisi ne aana chodh diya, nahi aati ab toh hichki bhi humko, lagta hai aapne yaad karna bhi chodh diya.
Unki yaadon main kabhi hum so bhi na sake... unke khayalon mein kabhi kho bhi na sake.. jab judaai ka waqt aaya to kismatt dekho.. hum aakhon se ro bhi na sake