Hasi ne labon pe thirakna chod diya hain, khwabon ne palkon pe aana chod diya hain, nahi aati ab toh hichkiya bhi shayad aapne bhi yaad karna chod diya hain..
Hazar gum the meri zindgi akeli thi,Khushi jahan ki mere vaaste ek paheli thi,Wo aaj bhaag k nikalte hai mere saaye se,Maine jinke liye gum ki dhoop jheli thi.
hum jee rahen the unka naam lekar, wo gujarte the hamara salam lekar, kal wo keh gayen bhula do hume, humne pucha kaise? wo chale gayen haath main jaam dekar.
Har ek muskurahat muskan nahi hoti.! Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti.! Ansu khushi ke gham ke hote hain ek jaise.! In ansuon ki koi pehchan nahi hoti.!