Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswayion ka,Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jata hai,Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jata hai.
Hame ashqon se palkon ko bhigona nahin aata,mile jo khushi to use khona nahin aata,seh lete hain har gam haske aur log kehte hain hamen rona nahin aata.
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..
Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai . Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai. Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen, Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai