Wo samajh na sake, haal-e-dil hum keh na sake,Kaise bataye unko hum unke bina reh nahi sake,Kabhi laut ke na aane ki kasam tod di humne,Un ashkon ke liye jo aankhon se beh na sake
Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…
kyun itna gam judaai ka hai tu liye huye, yaadon k apni palko pe jugnu liye huye, is dour-Ae-purfraib me hairat ki baat h, baitha hai tu wafaao ki khushboo liye huye….
mere to dard bhi auro ke kaam aate hain me ro padu to bahut loog muskurate hain khuda jane wo loog kaise sukun paate hain dilo ke khail me jo haar jaate hain
Karoge yaad ek din tum dosti ke zamane ko,Chale jayenge jis din hum kabhi na wapas aane ko...Chedega mehfil me zikar hamara koi,To chale jaoge tum tanhai mein aansoo bahane ko.