Raat dhal gayi, sitare chale gaye.. gairo se kya gila jab apne chale gaye.. jeet to sakte the ishq ki baji hum bhi.. par unko jitane ke liye hum harte chale gaye
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Saath Na Sahi Tanhai To Milti Hai,Mulakat Na Sahi Judai To Milti Hai,Kaun Kehta Hai Pyar Me Kuch Nahi Milta,zindgi bhar ki yade or ruswai to milti hai…
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Kuch Is Tarah Se Tode Han Milne K Silsily.Sub Nishan Apni Yaad K Mita K Chala Gya.Main Dhundta Raha Jise Milne K WasteWo Shakhs Mere Shehr Main Aa Kr Chala Gya