Is dil ki gali mei sada ker k to dekho,yeh rasm-e-faqiri ha ada ker k to dekhoreh jayegi tumhari her ik baat adhuri,tum khudko kabhi mujhse juda ker k to dekho.
Teri Raahon Mein Kabse Aankhen Beechaye Baithay hain Is Dil ke tufan Mai Mohabbat Ki shama Jalaye Baithe hain Aey Zaalim kis Morr Pe Laa kar Chodha Hain Tunnay Mujhko Aaj bhi Milne ki Hasrat se teri yaad ko dil se lagaye Baithe hain
Ho sakta hai humne anjane me aapko kabhi rula diya, aapne duniya ke kehnepe hume bhula dia, hum to vaise bhi akele the duniya mein, Aaj aapne ehsaas dila diya.
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko be qarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm gehra kabhi kabhi, Har phool par yu aetbaar na kijiye..
Jakham Aisa Diya Ke Koi Dwa Kaam Na Aayi Aag Aisilagai Ke Paani Se Bi Bhuj Naa Paayi Aaj Bhi Rote Hai Hum Unki Yaad Mein Jinhe Hamari Yaad Aaj Tak Naa Aayi