Zindagi nahin humein doston se pyaari, Doston pe haazir hai jaan hamaari, Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya, Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari
din beet jaate hai suhani yaade bankar baate reh jaati hai kahani bankar par dost to humesa dil ke kareeb rahenge kabhi muskan to kabhi aakhon ka paani ban kar
kisi ka pyar pane ki tamanna nahi, aap jaisa dost ka dular mile itna kafi hai aap chahe humein milo ya na milo, par humein yaad karte raho bas itna kafi hai
Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi