Rishton ki ye duniye hai niraali, Sab riston se pyaari hai dosti tumhaari. Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamaree, Agar aa jaaye muskaan hot pe tumahari
Guzra hua waqt dubara nahi aayega, marne ke baad kisi Ko pukara nahi jayega, mere dil Ke jis Kone me teri tasveer lagi hai, teri Kasam yaar us taraf Koi dubara nahi jayega.
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane, Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane, Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain, Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain
Waqt ke panne palatkar fir woh haseen lamhe jeena ko dil chahta hai,kabi muskuraya karte the sab dost milkar,aaj phir unke sath wo pal bitane ko dil chahta hai.
Chale gaye hain door kuch pal ke liye, Magar hain kareeb harpal ke liye, Kaise bhulayenge aapko ek pal ke liye, Jab ho chuki hai dosti umar bhar ke liye.