" Hoto pe aate ho Baat bankar, Dil mein aate ho Yaad bankar, Ankhon me aate ho Sapna bankar, Ho sake to hamesha meri Jindagi mein rehna Saccha Dost bankar. "
Muskan k dayre me hamesha khushi nahi hoti, Ansoon k sailab me hamesha gam nahi hote,Ban jaye chahe fasle jitne bhi,dosto ki dosti kabhi kam nahi hoti.
Wo pal b kya pal raha hoga,Jab khuda aap jaisa DOST bana raha hoga,Pareshan hoga khuda b us waqt,Kyunki har koi aapko paane ke liye khuda ko mana raha hoga!
Phool sukh jate hai 1 waqt ke baad, log badal jate hai 1 waqt ke baad, apni dosti bhi tootegi 1 waqt ke baad, lekin woh waqt ayega meri Maut ke baad...