Pathar jaisi duniya me dil apna laga baithe.. Kuch hi dino me meethe sapne saja baite.. Rokte the pehle logo ko is aag se..Ab khud hi ko is aag me jala baite......
Tumse doori ka ehsaas jab satane laga, Tere saath guzra har lamha yaad aane laga, Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki, Ae dost tu dil ke aur paas aane laga...
Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate, Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate. Udne do parindo ko abhi shokh hawa main, Fir laut kar college ke zamane nahi aate.
din beet jaate hai suhani yaade bankar baate reh jaati hai kahani bankar par dost to humesa dil ke kareeb rahenge kabhi muskan to kabhi aakhon ka paani ban kar