Na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain…
Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho, Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho, Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai, Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho
Ek din lehron k phool bhi murjha jayenge, Had se bhi zyaada hum tumhe yaad aayenge. Ehesaas hoga jab tumhe mere pyaar ka, Hum iss duniyan se door chale jaayenge