Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, khud bula ker phir sataya hai kisi ne, jab tak jali hai shama jalta raha parwana, kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Na jine ki khushi na marne ka gam, gam hai to unse na milne ka gam, jeete hai is aas pe kbhi woh hamare kehlayenge marte nahi isliye ki woh akele reh jayenge.
Mehfil me teri aaye hai to pee kar hi jayenge,pyaar tujhse kiya hai to dil de kar hi jayenge,jeete ji tujhe rota na dekh payenge,maut ke baad bhi tujhe hasta chod jayenge.
Wada kar ke jo mukar jate hain Woh log sab se jyada kareeb hote hain Waqt to chalta hai chal ke badalta hai Par ye log waqt se pehle hi badal jate hain..