Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
Yun Toh Sadmo Me Bhi Has Lete The Hum, Aaj Kyun Bewajah Rone Lage Hai Hum, Barso Se Hatheliya Khali Hi Rahi Meri, Phir Aaj Kyu Laga Ki Sab Khone Lage Hai Hum..
Ek ummeed ka diya jalaya tha aapke pyar ko paane ko, Par adhoora reh gaya mera sapna ek hone ko. Yaad karte hain hum aapki yaadon ko, Aur barsa dete hain in aansuon ko.