Kon tha apna kis pe inayat karte.Hamari to hasrat rahi tum bhi mohabat karte.Us ne samjha hi nahi mujhe kisi kabil.Warna us se pyar nahi us ki ibadat karte
Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye mein milne aau par tu bahar na aaye anjaan hai hamare pyar se vo ab tak ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye
Pyar me mitha dard mila ye bahut hai, sapno ko nayi disha mili vo bahut hai, apse pyar pura hua ya adhura baat ye nahi, pyar krne ka mauka mila vo hi bahut hai.
Yaado ko teri humne khone na diya, gumo ne bhi chup hone na diya. aankhe to aaj bhi bhar aayi teri yaad me, par teri di hui kasam ne hume rone na diya.!